Thursday, 1 February 2007

Dil Ke Aarmaan..

Badi mehnat se meri duniya lutai hogi,
Meri hasti b mitai hogi,
La uske pairon me marham laga du,
Mere dil ko thokar marte unhe chaut to aayi hogi.

Bedard Kuch Dost Aise ho gaye hai hamare,
Jo hamara intezar bi nahi karte,
Kabhi humse bahot baat kiya karte the,
Ab to hame yad bhi nahi karte.

Ishq se mili hai jo tanhai humein,
Kaise uska dard bayaan karenge,
Ekse hi mohabbat itni karli,
Auro se mohabbat kya karenge.

Tera dukh hum seh nahi sakte,
Bhari mahfil me kuch keh nahi sakte,
Humare girte aansu pakad ke dekh,
Wo bhi kehte hai hum tere bin reh nahi sakte.

Har Ek Jazbat ko juban nahi milti,
Har ek aarju ko dua nahi milti,
Muskan banaye rakho to dunia hai sath,
Aansou ko tho anko mein bhi panah nahi milti.

Khul kay ezhar-e-mohabbat karna hamari aadat na thi,
Wo samajay ke humain unse mohabbat na thi,
Sari aarzu dil mein hi rah gaye,
Kabhi hum masroof the, to kabhi unhe fursat na thi.

Chote se dil ko milte jakham bahut hai,
Zindagi ko milte har pal gum bahut hai,
Mar dalti kab ki ye duniya humein,
Kambkhat aap jaise doston ki duaon mein dum bahut hai.

Humne Ansuo se poocha,
Kyu mera majak banate ho,
Sabke samne hi chale ate ho,
Ansu bole
"Mehfil me bhi aapko tanha pate hain",
To saath dene chale aate hai.

Bahut chaha magar tumko bhula na sake,
Khayalon me kisi aur ko la na sake,
Tumko dekh ke aansoo to poch liye,
Par kisi ke samne muskura na sake.

Kasur na unka tha na mera,
Hum dono hi rishton ki rasmein nibhte rahe,
Wo Dosti ka ehsaas jatate rahe,
Hum Mohabat ko dil me chupate rahe.

Jab pyar karna sikh liya, to pyar nibhana bhi sikh liya,
Jab aaye aap ki yad to palko ko jhukana bhi sikh liya,
Is dar se ki koi dekh na le ye aansu,
Har gam me muskurana bhi sikh liya.

0 comments: