Friday, 29 December 2006

Aadat Si Ho Gayi Hai


Jab se dil lagaya hai tum se
Sab kuch saine ki aadat si ho gayi hai

Intezaar karte hai hum aap ka der tak
Aapko na aane ki aadat si ho gayi hai

Baat baat pe muskurate the hum
Ab to rone ki aadat si ho gayi hai

Kabhi talab karte the tumhe hum
Ab to berukhi saine ki aadat si ho gayi hai

Jab se sochna shuru kiya hai tum ko
Sari sari raat jaagne ki aadat si ho gayi hai

Jise bhi chaaha hum ne wo chhod kar chalaa gaya
Ab to khone ki aadat si ho gayi hai

Ab to chaahe chhod bhi do hume
Tum bin rehne ki aadat si ho gayi hai

Jab se tum gaye ho hume chhod kar
Tab se chup rehne ki aadat si ho gayi hai

Tum se na koi shikhwa na koi shikayat hai hume
Bas khud se shikayat karne ki aadat si ho gayi hai

Maloom hai ke humhari kismat mein tum nahi
Bas kismat se ladne ki aadat si ho gayi hai

Tum jahan bhi raho bas khush raho
Yeh dua maangne ki aadat si ho gayi hai

0 comments: